Aakhen band karte hii
Madhmast main ho jata hoon
Adhure khwabon aur sapnon ko
Main phir pura hote pata hoon.
Takdir mein kya hai lika
Bhala kaun batla pate hain
Hum toh unn musaffiron mein hain
Jo tanha, aage badte jate hain.
Pana chahta hoon woh mukaam,
Umeed se pare hai jo iss tann se
Zindagi ko aazmane ki
Ek khwahish hai iss komal mann mein.
Shram aur mehnat ke dum pe
Kash bahut naam aur shohrat ho jaye
Aas hai marne se pehle
Bass mere khwab pure ho jayein.
1 comment:
Liked !
Post a Comment