Sunday, September 17, 2023

Tum aur Main


Ret main ban jaunga, O Sanam,
Tum ek lahar banke ana,
Bharna mujhe aise baahon mein,
Apne sang lekar jana

Ishq ki, gehrayi ka, andaza tha na mujhe,
Darr hai, k dooba hun, main ab tere pyar mein

Kyun na tum aur main, bann jayen hum
Kyun na tum aur main, bann jayen hum

Waqt main bann jaunga O sanam,
Tum ek lamha banke ana,
Tujh mein main phir beet jaun,
Tum bhi mujh mein guzar jana

Tera yeh, jo saath hai, ek alag sa ehsaas hai
Zindagi, bitani hai, par ab tujh bin nahi

Kyun na tum aur main, bann jayen hum
Kyun na tum aur main, bann jayen hum

Meri ruh jaisi tu, ban mera sahara
Tera dil hi toh hai, mera kinara
Ban meri parchayi tu,
Kabhi mera, sath na chod jana

Jab roothegi tu, toh mana lunga main,
Bin kuch kahe tujhe, seene se laga lunga main

Kyun na tum aur main, bann jayen hum
Kyun na tum aur main, bann jayen hum