Tuesday, May 25, 2010

Mera Paigam


A poem written for a community programme at Dharavi.

Aao milkar haath badhao,
Desh ko apne swasth banao,
Saath badao apne kadam,
Sang sabhi toh jitenge hum.

Bharat desh hamara pyara,
Badti jansankhya ka hai maara,
Jor dekar socho sabhi,
Aabadi kam karni hogi abhi.

Jyada aabadi par khane ko kum,
Ghut ghut kar jeene mein nahin hai dum,
Lachari aur garibi se janata maili,
Tabhi bimariyan yahan hai faili.

TB ne Bharat mein banaya hai ghar,
Khasane aur thukne se faila magar,
Aaj 30% janata hai iska shikar,
Safai rakhne se iska vikar.

BCG kii ek dawai,
Bachpan mein yadi sabhi ne lagwai,
TB ka prakop hoga kum,
Pragati ki rah pe honge hum.

Ann hai hum sabhi ko khana,
Pet mein bimariyon ko kyun saath lejaana,
Ulti dast kam honge tabhi,
Jab haath dhoke khayenge sabhi.

Bachon ko yadi paani pilana,
20 minute tak usse jaroor ubalna,
Ulti dast se bachenge abhi,
Banenge bhavishya Bharat ke tabhi.

Ek bimari Bad rahi aage,
Naam sunate sabhi door bhagen,
AIDS hai wah kahlati,
Nahin dekhti woh dharm aur jaati.

Tode hain issne bahut pariwar,
Jhel rahe hain bahut iski maar,
Condom pahanne se isse mukti hai,
Sochiye, AIDS aapki zindagi badal sakti hai.

Swaasth kaa paigam failana hai hum sabhi ka dharam,
Safai rakhke tum karo ache karm,
Yah paath yaad rakh ai Insaan,
Doctor ko mat bana bhagwan
Doctor ko mat bana bhagwan !!