Tuesday, March 28, 2023

Tu Pehla Pehla Pyar


Deewanon sa, haal hai mera,
Kaisa jaadu yeh, tune kiya,

Kyun mujhe, tum satati ho,
Aake mere khwabon mein,
Dil par na, ab zor hai,
Kho gaya hun teri yaadon mein,

Tu pehla pehla pyar mera, Tu hi iqraar mera,
Tere bin main kaise jiyun,
Tere khayaalon mein, Raaton ko jagun main,
Chain na hai, na hai sukun.

Chadh jaye to, utarta nhi,
Ye ishq bhi, nashe se kam nhi,

Yeh kaisi, khwahish hai,
Mit ti hi nahi,
Ji bhar k tujhe dekhun main,
Nazar phir bhi hat ti nahi

Tu pehla pehla pyar mera, Tu hi iqraar mera,
Tere bin main kaise jiyun,
Tere khayaalon mein, Raaton ko jagun main,
Chain na hai, na hai sukun.

Dhunde tujhe, meri nazar,
Rehti nahin, mujhe apni khabar,

Uljha rehta hun sawaalon mein,
Kab sath honge hum,
Phir iss qadar tujhe, pyar karun,
K yeh zindagi lage kam.

Tu pehla pehla pyar mera, Tu hi iqraar mera,
Tere bin main kaise jiyun,
Tere khayaalon mein, Raaton ko jagun main,
Chain na hai, na hai sukun.