Saturday, January 6, 2024

Khota hua Bachpan


Kahan kho gaya woh samay,
Jab zameen pe tippe maar kar nali mein padi hui ball saaf ho jati thi,
Dusri society k ladkon k sath cricket k match hua karte the,
Jab chappalon, ya pattiyon se lakir kheech football k goalpost banaye jate the,
Jab garden mein hath pakad sakli kheli jati thi,
Ek k upak ek pathar rakh lagori kheli jati thi,
Jab Buildingon mein bacche chor police and chupam chupai khelte the,

Aj sunsaan pade hain who jhule, jinke liye kabhi line hua karti thi,
Aj buildigon mein khelne ki jagah gaadiyon ne leli hai,
Aur doston-khilonon ki jagah mobile ne leli hai,
Mobile ek aisa yantra hai jisne bacchon se unka bachpan cheen liya,
Usne Camera, Ghadi, music player ko toh khatam kiya hi diya hai,
Par dukh ki baat toh yeh hai ki wah rishton ko bhi khatam karta ja raha hai.

No comments: