Friday, February 23, 2024

Doctorzoned !!



Disclaimer : Jaise prescription pe likhte hai, ki this is a suggested brand only, and it is not binding on the patient to buy the same brand, waise hi mera disclaimer hai ki this poem is written in a light mood, so please don’t take it seriously.

Aap sabne FRIENDZONED toh suna hi hoga…. jab ek ladka ek ladki ko patane k liye uski bahut help karta hai, par end mein uska MOYE MOYE ho jata hai – C kat jata hai…. Aur friendzoned ka spot diagnosis hai ki jab wahi ladki aapke sath bike par baithti hai, aur dono k beech mein apna bag rak k ek diwar bana leti hai… then you know you’ve been friendzoned.

Waise hi, meri kavita ka shirshak hai ‘DOCTORZONED’ – aur yeh baat kuch saal pehle k real events se inspired hai, jab main 30 ka tha aur mere bhi adipose tissue wali jagah pe protein se bhari toned muscles hua karti thi…

XXX

Ek din ek 25 varshiye hassena meri OPD mein ayi,
Phir detail mein usne apni chief complaint aur 100 % mortality wali Google ki diagnosis batai,
Kaha maine, ki ghabrao mat, meri dawi leke tum ho jaogi theek,
Follow up with all reports and prior appointment after 1 week…

“Doctor, can I pleaseeeeee get your number? puch usne mujhe Ketamine k dissociative anaesthesia jaise apne maya jaal mein fasaya
Promise, I will only call you in emergency sunke mera dil phislaya, aur maine usse number batlaya,
Phir kya… agle kuch mahine tak Whatsapp pe free consultation aur uske rishtedaaron ki reports share karne ka silsila chalta raha,
Uske Good morning, Good night, forward messages se mera bhi core temperature aur heartrate badta raha…

Kuch 3 mahine baad uski daadi ICU mein admit hui pneumonia k sath,
Socha ki ilaaj aur clinical counseling k baad keh dunga usse apne dil ki baat,
Same counseling ka action replay karwane k liye phir usne baat karai apne baap se,
Number dial karke boli, Doctor Uncle baat karenge aap se...

Doctor Uncle sunke mere pairon tale zameen khisak gayi,
aur gyat ho gaya k Krish picture k Rohit Mehra ki tarah meri medical shaktiyon ka bhi galat istemaal kiya gaya hai,
Ussi din kasam khayi aur aj tak maine apna personal number kisi mariz ko nai diya hai…
Ussi din kasam khayi aur aj tak maine apna personal number kisi mariz ko nai diya hai…